~*~ Welcome To My Blog~*~

Entertainment consists of any activity which provides a diversion or permits people to amuse themselves in their leisure time. That is the reason why I'm making this blog. Here you'll taste every dish of entertainment. Enjoy !!!!

Search This Blog

Monday, February 22, 2010

~*~ Ab Tum Mujhe Yaad Na Karna ~*~


chalne ka samay ho gaya hai
ab tum mujhe yaad na karna
ruk nahi paungi tumhare rokne per
apna samay barbaad na karna
bahut kam samay bacha hai ab mere paas
tum khud mei reh ker khud ko aabad karna
chali jaungi us dagar per ek din
per tum kabhi mera intezar na karna
is jahan se us jahan tak meri doori bahut kam hai
mere lautne ki fariyaad na karna
chalne ka samay ho gaya hai
ab tum Mamta ko yaad na karna

Friday, January 22, 2010

~*~ Kyun ? ~*~

Kyun zindagi ne tumse milaya hum
Kyun phir yun juda hue hum?
Kyun tumko dil itna chahata hai?
Kyun phir tumse milne ko tarpe hai mann?

Kyun her insaan me tumhe main talashati?
Kyun her waqt yeh ankhey tumhe dekhana chahti?
Kyun her awaaz per main chaunk uthti?
Kyun her khusboo mein tumhe khojati?

Kyun zindagi se kuch maang nahi sakti?
Tumko kabhi aapna keh nahi sakti?
Kya is ke baad bhi jeena aasan hoga?
Kya ab mai mar bhi nahi sakti?

Kyun dil ki yeh majboori hai?
Kyun kahani meri adhuri hai ?
Kyun sapne aise dekhe maine?
Kyun aansu her waqt lagte hai behne ?

~*~ Mera Hee Naam ~*~

Maine usay ek ishara kiya
Usne SALAAM likh ke bheja.
Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne CHAND likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara AASMAAN likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne QAYAMAT KI SHAAM likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne MUHABBAT KA ANJAAM likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..MERA HEE NAAM likh ke bhejaa…

~*~ Suno Tum Laut Aao Na ~*~


Suno Tum Laut Aao Na
Suno Tum Laut Aao Na
Jahan tum ho wo duniya kab tumhari hai
Kay suraj dhal gaya hai
Aur Haseen ik sham utri hai
wo dekho chand nikla hai sitaray jagmgaye hain
Humari Muntazir Ankhen
Duaye mangti Ankhen
Tumhe hi sochti Ankhen
Tumhe hi Dhondti Ankhen
Tumhe Wapis bulati hain
Tumhara Aks phir shayad
Meri palkon mei utra hai
Koi Ansoo ager aaya
Baha ker ab na le jaye
Ye Dil jab bhi dharkta hai tumhara nam Leta hai
Ye Ansoo jab bhi behte hain Tumhare dukh main behte hain
Ye barish jab bhi hoti hai tumhe hi yaad karti hai
Khushi koi jo aayegi tumhare bin adhoori hai
Suno Tum Laut Aao Na
Suno Tum Laut Aao Na

~*~ Rishta ~*~

khwab aur haqeeqat mei
ishq aur nazakat mei
dil aur dimag mei
kagaz aur kitaab mei
phool aur khushboo mei
dill ki dhukdhuk mei
ek ajeeb sa rishta hai
ek ke bina dusra adhoora hai
ek chalta hai ek rukta hai
ek badhta hai ek jhukta hai
kyu khwab haqeeqat banna chahta hai
kyu ishq mei nazaqat hoti hai
kyu dil per dimag haawi hai
kyu kaagaz bina kitaab bebhaawi hai
kyu phoool hee khushbu deta hai
mehboob ke chhute hee
kyu dil dhukdhuk karta hai
kaisa ye rishta hai ?
bol mamta bol
kaisa ye rishta hai ?

~*~ Aksar Aisa Hota Hai ~*~

aksar aisa hota hai...
hum vahi pate hain,
jo hum nahi chahte hain....
duniya aage badhti hai....
hum peeche reh jate hain....
aaj me hote hue bhi
ateet ko bhool nahi pate hain...
aksar aisa hota hai ...............

zindagi me kabhi kabhi
aise pal bhi aate hain..
jinme hum khushiyon ko
chhor kar gum ko gale lagate hain...
hanste khelte hue.
hum bhaavuk ho jate hain.....
sansaar ki chakachaundh mei
saadgi ko bhool jate hain....
hain na mamta ...
aksar aisa jota hai.................

Thursday, January 21, 2010

~*~ Aankhe ~*~




jab teer chala nazar ka
bhed gaya mere dil ko
jab palke uthayi usne
haye! mai kaise sambhaalu dil ko
uski bholi see khoobsurat aankh
jaise samjhaati hai mujhko
jheel see gehrayi hai inme
tabhi toh duba leti hai mujhko
uski aankho ki chamak ye kehti hai
aa chhupa lu daaman mei tujhko
kyu doobta ja raha hoon mai
yeh khabar nahi hai mujhko
jab dekhe aankho mei ashq uske
kyu sambhaal nahi paya mai khud ko
khuda se fariyaad karne laga mai
dey dey us naazneen ke gham mujhko
ae mamta ab tu hee bata
kya milenge uske gham mujhko